teri nigah-e-naz ke bismil na honge hum har rang har faza mein to shamil na honge hum ek bewafa se hum ne yahan tak kaha kabhi chahega gar khuda bhi to hasil na honge hum tanqid karne walon pe hansna pada hamein mushkil wo chahte hamein mushkil na honge hum sahil pe jaane wale kabhi lautte nahin dhoke se bhi kabhi koi sahil na honge hum hum ko hai ishq us se jo hai 'jaun-elia' yani ki aap ke koi qabil na honge hum hum ne to apne jism mein ek dil ko mara hai kya phir bhi sochte ho ki qatil na honge hum mana sharab pite hain to kya hua miyan yani ki aap kahte hain fazil na honge hum