zindagi chaak hui kya ho rafu ki surat mil gai khak mein ab zauq-e-numu ki surat hausle kya hue chadhte hue dariyaon ke regzaron mein kahan kho gai ju ki surat khwahish-e-sim-badan se hua wahshat ka nuzul nashsha-e-jism ne kya kar di lahu ki surat dukh-bhari sham ke neze pe sisakte hue log zarre zarre se tapakti man-o-tu ki surat zaiqe talkh hue aankh se wahshat tapki kaun yaad aaya 'jamal' aaj adu ki surat