ye man lo ki gham hai zaruri khushi ke baad ek tirgi ka daur hai is raushni ke baad ai dil ye iztirab tere kaam aaega mil jaega sukun tujhe bekali ke baad jab tabsira karen wo mere waqiat par diwangi ki baat chhide aagahi ke baad duniya sanwarni hai to uqba ki fikr kar ek aur zindagi bhi hai is zindagi ke baad aabaad ho sakega na saqi kisi tarah mai-khana-e-hayat meri mai-kashi ke baad hosh-o-khirad ke sath na diwangi chali paigham be-khudi ka mila hai khudi ke baad dair-o-haram ke raaz se waqif na tha bashar irfan bandagi ka hua bandagi ke baad dil zindagi ke nam se bezar ho gaya ai jaan-e-kaenat teri be-rukhi ke baad ye bazm-e-rang-o-bu hai jo hum se saji hui lut jaegi ye bazm ghadi do ghadi ke baad tum markaz-e-khayal ho tum markaz-e-nigah koi gali nahin hai tumhaari gali ke baad tark-e-talluqat se zahir hua 'nigar' banti hai dushmani ki faza dosti ke baad