teri rah dekhta main but-e-bewafa kahan tak tera intizar main ne kiya subh ki azan tak wahi rahzan jinhon ne mere karwan ko luta ba-khuda unhi mein shamil hai amir-e-karwan tak na use agar bujhaya to chaman ko phunk degi yahi aag jo abhi hai meri shakh-e-ashiyan tak kisi koh par guzarti to wo reza reza hota jo mere chaman pe guzri hai bahaar se khizan tak tera dil bhi jaanta hai koi rabt hai yaqinan tere qahqahon se le kar mere nala-o-fughan tak mujhe sanp ban ke dasne wahan shakh shakh lapki main gaya jo fasl-e-gul mein kabhi sehn-e-gulistan tak mere ishq ka fasana mere pyar ki kahani wo hai ab zaban zaban par jo kabhi thi raaz-dan tak ye mera wajud ‘salman’ hai nishan kisi ke gham ka main kisi ka ho gaya jab na raha mera nishan tak