unki gali mein barson rihaish ke bawajud

un ki gali mein barson rihaish ke bawajud
hasil na kar saka unhen koshish ke bawajud

aankhon se aashkara nahin hone di tapish
dil mein dahakti hijr ki aatish ke bawajud

tera hun main to tere karam se tera hun main
shaitan aur nafs ki sazish ke bawajud

shayad uthen wo sun ke sarafil ki sada
jo nind mein hain chaar-su shorish ke bawajud

wo zahr de raha tha main samjha sharab hai
ek mughbache ke hath ki larzish ke bawajud

hairat hai un pe tujh ko nahin mante jo log
shams-o-qamar mein teri numaish ke bawajud

khwahish ke wo baghair milega ba-roz-e-hashr
duniya mein jo na mil saka khwahish ke bawajud

'gilani' koi aisa na hoga jo hashr mein
bakhsha na jae un ki sifarish ke bawajud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close