tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha

tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha
manind hawa phand ke diwar gaya tha

phirta hun main be-dil mera dil kyun nahin dete
kya tum se jua khel ke main haar gaya tha

saude ko na puchh aaya tha tu naz se jis din
gesu tera us din mere sar mar gaya tha

dil se na sahi aae to mayyat pe wo aakhir
aate na to marna mera bekar gaya tha

khud main ne jataya hai use hashr ka maidan
mashhad hi se main us ka taraf-dar gaya tha

barchha tha ki tir apni nazar se ye zara puchh
sine mein kuchh is par se us par gaya tha

majbur hua wo jo pada zulf ka phanda
'shauq' us ke wahan ho ke giraftar gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close