teri talash mein nikle hain tere diwane kahan sahar ho kahan sham ho khuda jaane haram hamin se hamin se hain aaj but-khane ye aur baat hai duniya hamein na pahchane haram ki rah mein hail nahin hain but-khane haram se ahl-e-haram ho gae hain begane ye ghaur tu ne kiya bhi ki hashr kya hoga tadap utthe jo qayamat mein tere diwane 'aziz' apna irada kabhi badal na saka haram ki rah mein aae hazar but-khane