ye teri KHalq-nawazi ka taqaza bhi nahin

ye teri khalq-nawazi ka taqaza bhi nahin
kahin dariya hai rawan aur kahin qatra bhi nahin

apne aaqaon ke aibon ko mahasin samjhe
itni paband-e-aqidat to reaya bhi nahin

ikhtiyaraat se haq tak hain zabani baaten
dastakhat kya kisi kaghaz pe angutha bhi nahin

koi imkan nahin hai kisi khush-fahmi ka
chaara-gar tum ho to phir zakhm ko bharna bhi nahin

ishtihaaraat lage hain meri khush-haali ke
aur thaali mein meri khushk niwala bhi nahin

ye ujala koi sazish hai ye jugnu hai fareb
subh se pahle charaghon ko bujhana bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close