zabt-e-gham se lakh apni jaan par ban aae hai han magar ye izzat-e-sadat to rah jae hai hum unhin ahl-e-wafa ke chahne walon mein hain aasman jin ke liye sadiyon lahu barsae hai kya khuda ki shan hai is daur ka insan bhi ek zara mukhtar hote hi khuda ban jae hai hausle ke sath hum nikle to hain ghar se magar dekhiye ye rasta kis aastan tak jae hai ye shuur-e-tishnagi hai ya ghurur-e-tishnagi tishna-lab dariya pe ja ke tishna-lab laut aae hai shan-e-hairat hai ki jis ko sang kah dete hain log phir wahi dil tutne par aaina kahlae hai