tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya saya hai pyar ka na mohabbat ki dhup hai diwar ke hisar ko ghar kah diya gaya in ke har ek goshe mein sadiyan muqim hain tuti imaraton ko khandar kah diya gaya khuddari-e-ana hai na pindar-e-zist hai shanon ke sare bojh ko sar kah diya gaya aangan mein har makan ke andheron ka raj hai mahlon ki raushni ko sahar kah diya gaya kuchh khauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yar khush-gamiyon ko ranj-e-safar kah diya gaya hairat darogh maslahat-amez par ho kya be-barg jhadiyon ko shajar kah diya gaya dekha kahan hai aag ke dariyaon ka safar jugnu ude to raqs-e-sharar kah diya gaya kuchh ehtiram-o-husn-e-aqidat ke josh mein har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diya gaya khul jaega bharam teri mizan-e-adl ka do ek harf-e-jurm agar kah diya gaya na-ashna-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-am hai wo rasta bhi rahguzar kah diya gaya yun khush hain jaise waqiatan ho gae khuda majburiyon ke zer-e-asar kah diya gaya 'anjum' yahan tak aane mein kya kya guzar gai mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diya gaya