raqs-e-junun ki garmi-e-tasir dekhna khulta hai kaise halqa-e-zanjir dekhna ghis ghis ke pattharon ko banaya hai aaina dekhen wo khwab hum ko hai tabir dekhna harbe sab un ke un ko hi lauta diye gae hairat se ban gae hain wo taswir dekhna likh di zaban-e-zakhm mein rudad-e-zindagi jismon pe us ki shokhi-e-tahrir dekhna ab to wajud-e-maqtal-o-zindan pe aa bani ab bediyan na tauq na zanjir dekhna dekhe hain baithe baithe muqaddar ke tum ne khel uth kar zara karishma-e-tadbir dekhna qasr-e-hayat-e-nau ki hai barud par bina 'anjum' ye paedari-e-tamir dekhna