utha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye nigah-e-shauq ne bose har ek ada ke liye mahak hai tere shabistan ki bu-e-zulf-e-saba chali hai baad-e-saba ek shikasta-pa ke liye suno ki dil ko mere eatibar-e-zist nahin ruka hun ek nafas arz-e-muddaa ke liye mere khayal ne pahna libas-e-harf-o-nida sarir-e-khama hai raqsan meri nawa ke liye dayar-e-dil to hua waqf-e-ahuwan-e-jawan ab aur koi banaenge ghar khuda ke liye mere khayal ko qaid-e-makan qubul nahin hudud-e-bahr-o-bayaban nahin hawa ke liye rahi nazar mein hamare urus-e-shauq-e-mudam fana-e-zist rahe zist ki baqa ke liye kise bataen ki hum ne pila ke khun-e-jigar chaman mein phul khilae teri qaba ke liye khayal-o-rang-o-nuqush-o-huruf-o-lauh-o-qalam bichhe hain dam jamal-e-gurez-pa ke liye