tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya bahr-e-dil mein ishq ka tufan aadha rah gaya main idhar bechain hun aur wo udhar hai muztarib dastan-e-ishq ka unwan aadha rah gaya chand lamhe baad hi aa kar wo rukhsat ho gaya us se milne ka tha jo arman aadha rah gaya us ki taswir-e-tasawwur hai nazar ke samne khana-e-dil mein jo tha mehman aadha rah gaya tishna-e-takmil hai mere sawalon ka jawab main samajhta tha jise aasan aadha rah gaya ibn-e-adam ki kabhi puri nahin hoti hawas wo samajhta hai abhi saman aadha rah gaya ilm zahir aur baatin lazim-o-malzum hain jo na samjhe us ko wo insan aadha rah gaya apni apni sarhadon se hain sabhi na-mutmain chin aadha rah gaya japan aadha rah gaya sab ki dafli hai alag aur sab ka apna rag hai shaikh aadha rah gaya aur khan aadha rah gaya naqidon ke darmiyan hai in dinon mauzu-e-bahs 'mir' aur 'ghaalib' ka jo diwan aadha rah gaya sher likh sakta nahin jo kar raha hai is ki sharh sher-fahmi ka tha jo rujhan aadha rah gaya kah raha hai jis ki nazron mein barabar hain sabhi is amir-e-shahr ka farman aadha rah gaya hai kabhi nime darun wo aur kabhi nime barun aadmi ka aaj-kal iman aadha rah gaya ek jhalak dikhla ke apni jo kabhi lauta nahin us ke 'barqi' hijr mein be-jaan aadha rah gaya