tha magar itna ziyaada to junun-KHez na tha

tha magar itna ziyaada to junun-khez na tha
pahle dekha tha to lab hi tha ye labrez na tha

thin magar itni bhi badmast na thin ye aankhen
tha magar aankh mein surma tera yun tez na tha

tere phulon se ye khushbu to nahin aati thi
mausam-e-lams se tu qarya-e-zarkhez na tha

yaad to hai teri kam-umr nigahon ka fusun
lekin us chashm-e-jawan sa sehr-angez na tha

tuti padti na thin aankhen meri tujh par aise
gul-ba-daman to tu pahle hi tha gul-e-rez na tha

jaisa mawwaj tha us husn ka dariya 'kashif'
dil ka tufan koi waisa bala-khez na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close