tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra main kisi ke hijr mein muztarib mujhe chahta koi dusra tera rang sab se juda sahi teri shakl sab se hasin magar mera mubtada koi aur hai mera muntaha koi dusra mere log gard-o-ghubar mein tere yar tere dayar mein tu asir-e-manzil-e-shash-jihat mera rasta koi dusra main zara si baat pe ruth kar to nahin gaya teri bazm se mere mehrban kabhi sochta tha moamla koi dusra yahi aasman mera aasra yahi khak-e-khilat-e-be-baha meri jaedad-e-junun jise nahin bantta koi dusra