yaad aaya hai ghar lauT ke sahra bhi bahut din

yaad aaya hai ghar laut ke sahra bhi bahut din
nikla na mere panw ka kanta bhi bahut din

anjaan raha main bhi gham-o-dard se barson
begana rahi mujh se ye duniya bhi bahut din

ek chand gahan manzar-e-har-shab pe hua bar
ai zauq-e-basarat ye andhera bhi bahut din

mumkin hi nahin waqt mita de ye khad-o-khal
hum ne use yaksui se dekha bhi bahut din

shohrat bhi mili mujh ko tere shahr se lekin
khaya hai teri bazm mein dhoka bhi bahut din

dekha hai 'ziya' khud ko zamane ki nazar se
karta raha be-lutf tamasha bhi bahut din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close