wo khul kar mujh se milta bhi nahin hai magar nafrat ka jazba bhi nahin hai yahan kyun bijliyan mandla rahi hain yahan to ek tinka bhi nahin hai barahna sar main sahra mein khada hun koi baadal ka tukda bhi nahin hai chale aao mere viran dil tak abhi itna andhera bhi nahin hai samundar par hai kyun haibat si tari musafir itna pyasa bhi nahin hai masail ke ghane jangal se yaro nikal jaane ka rasta bhi nahin hai ajab mahaul hai gulshan ka 'farhat' hawa ka taza jhonka bhi nahin hai