tu aaya to dwar bhide the dip bujha tha aangan ka sudh bisrane wale mujh ko hosh kahan tha tan man ka jaane kin zulfon ki ghataen chhai hain meri nazron mein rote rote bhig chala is sal bhi aanchal sawan ka thodi der mein thak jaenge nil-kamal si rain ke panw thodi der mein tham jaega rag nadi ke jhanjhan ka phir bhi meri banhon ki khushbu har dal pe lachkegi har tara hira sa lagega mujh ko mere kangan ka tum aao to ghar ke sare dip jala dun lekin aaj mera jalta dil hi akela dip hai mere aangan ka