wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki khushbu bhai thi use lana jaan ganwana tha aur apni jaan parai thi wo raat ka tul-tawil safar kya kahiye kaise aai sahar kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi khwabon se udhar ki masafat mein jo guzri hai kya puchhte ho ek wahshat chaar-pahar ki thi ek jalti hui tanhai thi wo raat ki jis ke kinaron par hum milte aur bichhadte the ek bar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi har sham ufuq ki duri par koi sahma sahma phirta tha taswir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi