thi titliyon ke taaqub mein zindagi meri wo shahr kya hua jis ki thi har gali meri main apni zat ki tashrih karta phirta tha na jaane phir kahan aawaz kho gai meri ye sarguzisht-e-zamana ye dastan-e-hayat adhuri baat mein bhi rah gai kami meri hawa-e-koh-e-nida ek zara thahar ki abhi zamana ghaur se sunta hai an-kahi meri main itne zor se chikha chatakh gaya hai badan phir is ke baad kisi ne nahin suni meri ye darmiyan ka khala hi mera nahin warna ye aasman bhi mera zamin bhi meri kise khabar ki guhar kaise hath aate hain samundaron se bhi gahri hai khamushi meri koi to aae mere pas do ghadi baithe ki kar gai mujhe tanha khud-agahi meri kabhi kabhi to zamana raha nigahon mein kabhi kabhi nazar aai na shakl bhi meri mujhe khabar hai kahan hun main kaun hun 'akhtar' ki mere nam se surat giri hui meri
Please share if you liked this!!!