thik hai khud ko hum badalte hain shukriya mashwarat ka chalte hain ho raha hun main kis tarah barbaad dekhne wale hath malte hain hai wo jaan ab har ek mahfil ki hum bhi ab ghar se kam nikalte hain kya takalluf karen ye kahne mein jo bhi khush hai hum us se jalte hain hai use dur ka safar dar-pesh hum sambhaale nahin sambhalte hain tum bano rang tum bano khushbu hum to apne sukhan mein dhalte hain main usi tarah to bahalta hun aur sab jis tarah bahalte hain hai ajab faisle ka sahra bhi chal na padiye to panw jalte hain
This is a great shukriya shayari urdu. True lovers of badalte rishte shayari in urdu will love this. Please share if you liked this!!!