thi ye ummid ki wo laut ke ghar aaega kya khabar thi ki ba-andaz-e-digar aaega kai zakhmon ke khandar ab bhi hain mere dil par jab kuredoge naya rang ubhar aaega muskuraegi jab aankhon mein sitaron ki ladi aaina ban ke hasin khwab nazar aaega jab bhi lahraegi palkon pe teri yaad ki sham dil ki wadi mein naya chand utar aaega dil ki rahon ka muqaddar hai sarabon ka safar jo bhi aaega yahan khak-basar aaega sang baron ki ye basti hai yahan ai shahin kaun hai le ke jo shishe ka jigar aaega