dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi mana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida hum faqir logon ka ek thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost aab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali mein 'faraaz' aana jaana nahin ki tujh se kahen