thoDi si waza oDh li aur waza-dar ho gae

thodi si waza odh li aur waza-dar ho gae
ashab-e-izz-o-jah mein hum bhi shumar ho gae

hum bhi chattan the magar zarb-e-shadid waqt se
har lamha tutte rahe aakhir ghubar ho gae

tarkash mein jis ke tir the na hath mein kaman thi
shumi-e-bakht dekhte us ka shikar ho gae

mandi mein le to aae ho lekin wo bik na paenge
mausam-e ki mar se jo phul daghdar ho gae

sharm-o-haya adab ke jo the kuchh libas-e-fakhira
ghar mein rakhe rakhe hi wo tar tar ho gae

sab ke huquq kuchh na kuchh hain qarz meri zat par
kaise chukaunga wahan itne udhaar ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close