wo jo ro raha tha wo hans pada wo jo hans raha tha wo ro diya yahan ek jazira bana diya wahan ek jazira dubo diya ye banane wale ka shauq hai kahin haar hai kahin tauq hai kahin wah hai kahin aah hai kahin pa liya kahin kho diya wo asir-e-husn-e-bayan hun main zaban ka wo kisan hun ki zamin mujh ko jahan dikhi wahin ek khayal ko bo diya wo jahan-e-hast ke motiyon ko piro raha tha kamal mein main bhi samne tha pada hua to mujhe bhi us ne piro diya na tilism hai na ye sahar hai ye kamal-e-kuza-e-sher hai ki usi se bahr rawan kiya aur usi mein bahr samo diya