uljhe to sab nasheb-o-faraaz-e-hayat mein hum the ki un ki zulfon ke kham dekhte rahe jab ghar jala tha mera wo manzar ajib tha dekha nahin jo tum ne wo hum dekhte rahe wo sahib-e-qalam na wo ab sahiban-e-saif kya ho gae hain saif o qalam dekhte rahe hum tishna-kaam jam-e-tahi le ke hath mein saqi ka mai-kade mein bharam dekhte rahe pahunche sanam-kade mein to hairat na kam hui kitne badal gae hain sanam dekhte rahe bas dekhte hi dekhte 'naushad' kya kahen suraj ghurub ho gaya hum dekhte rahe