yagana ban ke ho jae wo begana to kya hoga

yagana ban ke ho jae wo begana to kya hoga
jo pahchana to kya hoga na pahchana to kya hoga

kisi ko kya khabar aansu hain kyun chashm-e-mohabbat mein
fughan se gunj utthega jo virana to kya hoga

hamari si mohabbat tum ko hum se ho to kya guzre
bana de shama ko bhi ishq parwana to kya hoga

yahi hoga ki duniya aql ka anjam dekhegi
had-e-wahshat se badh jaega diwana to kya hoga

tassub darmiyan se aap ko wapas na le aae
haram ki rah mein nikla sanam-khana to kya hoga

tasawwur kijiye us aane wale daur-e-barham ka
gada todenge jab pindar-e-shahana to kya hoga

mita do hasrat-e-abaadi-e-dil bhi mere dil se
ye jitna ab hai is se aur virana to kya hoga

na tum aaoge na aawaz apni laut paegi
pukarega tumhein sahra mein diwana to kya hoga

fareb-e-zindagi ki dastan kahne ko kya kam hai
qayamat mein zaban par aur afsana to kya hoga

lahu ke dagh badh jaenge kuchh diwar-e-zindan par
khafa ho jaega zindan se diwana to kya hoga

mudawa ho nahin sakta hai dil par chot khane ka
mere qadmon pe rakh do taj-e-shahana to kya hoga

'saba' jo zindagi bhigi hui hai barish-e-gul se
bulaega kisi din us ko virana to kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close