yahi haqir si duniya jo khak-dan lage bulandiyon se jo dekho to aasman lage wo zindagi ki kadi dhup sah nahin sakta hai ek abr ka tukda bhi saeban lage use bhi jine ka haq hai use bhi jine do jo be-zaban nahin aur be-zaban lage batao nazr karun main kise mata-e-hayat main jis ko pyar karun wo bhi bad-guman lage usi ko saunp de sarmaya-e-hunar apna mata-e-lauh-o-qalam ka jo pasban lage rawan-dawan tha jahan aabshaar-e-naghma-o-nur wo shahr-e-aish-o-tarab kitna be-aman lage ye apne zauq-e-tajassus ki baat hai warna wo be-suragh lage hai na be-nishan lage wo baat nok-e-qalam tak zarur aaegi jo harf harf haqiqat ki tarjuman lage khamoshiyon mein bhi sargoshiyon ke hain ambar teri nigah mere gham ki dastan lage hazar sal masarrat ki zindagi bhi 'asar' na ek lamha na ek pal na ek aan lage