tilism-e-saya-e-hasrat faza-e-hairani

tilism-e-saya-e-hasrat faza-e-hairani
phir aaj tapne lagi hai hamari peshani

ye but bhi thik ye tauhid bhi ye kufr bhi thik
kahin pe barf kahin bhap wo kahin pani

dhansa hua kisi banphul ka koi kanta
hamari ruh mein karta hai khushbu-e-jaani

hazar phul mere be-dhadakte sine par
magar gai na kahin do jahan ki virani

mujhe na chhed main ukta chuka hun duniya se
main apne aap ka murakh khud apna main giyani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close