wahi nibah ke kanTe wahi gulab ke phul

wahi nibah ke kante wahi gulab ke phul
mere nasib mein kab aae mere khwab ke phul

sukun-e-zabt pe thahra wo dard ka mausam
junun ke rang mein khilte rahe azab ke phul

tilism kaisa bandha hai hawa-e-sahra se
mahak rahe hain meri zat mein sarab ke phul

ba-shakl-e-but mili sahra mein dewi patjhad ki
ye sochta hun chadhaun use main aab ke phul

nahin hai koi tawazun wafa-o-husn ke beach
na ab wo hijr na sukhe hue kitab ke phul

mahak rahi hai mere sahan ki nai mitti
baras rahe hain badi der se sahab ke phul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close