tir jo us kaman se nikla jigar murgh-e-jaan se nikla nikli thi tegh be-daregh us ki main hi ek imtihan se nikla go kate sar ki soz-e-dil jon shama ab to meri zaban se nikla aage ai nala hai khuda ka nanw bas to na aasman se nikla chashm-o-dil se jo nikla hijran mein na kabhu bahr-o-kan se nikla mar gaya jo asir-e-qaid-e-hayat tangna-e-jahan se nikla dil se mat ja ki haif us ka waqt jo koi us makan se nikla us ki shirin-labi ki hasrat mein shahd pani ho shan se nikla na-muradi ki rasm 'mir' se hai taur ye is jawan se nikla