zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka jam-e-mai ban gaya ek mast-e-khud-arai ka ji mein aata hai ki phulon ki uda dun khushbu rang uda lae hain zalim teri ranai ka main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar dun kash mauqa to mile un se shanasai ka bhul jaoge yahan aa ke tum apna aalam tum ne dekha nahin gosha meri tanhai ka tum ne kaba to banaya hai 'sharaf' ke dil ko hukm is kabe mein do sab ko jabin-sai ka