unhen maqsud agar tark-e-watan ki aazmaish hai to hum samjhenge ab rasm-e-kuhan ki aazmaish hai wo kya koi sikandar hain jo ye elan karte hain hamari fard mein dar-o-rasan ki aazmaish hai muhibban-e-watan hain hum hamari aazmaish hai hamein darkar khud nang-e-watan ki aazmaish hai sukhan-dan ko bhi shayad imtihan maqsud hai apna jo har har lafz mein baba-e-fan ki aazmaish hai 'ziya' ke zehn mein taqid-e-lafzi hai to hairat kya use bhi apne aala fikr-o-fan ki aazmaish he