mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai hote hote hum zamane se juda hote gae muntazir jaise the dar shahar-e-firaq-asar ke ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae harf parda-posh the izhaar-e-dil ke bab mein harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir' aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae