us shaKHs ko jo mujh pe yaqin kuchh nahin raha

us shakhs ko jo mujh pe yaqin kuchh nahin raha
baqi mere liye bhi kahin kuchh nahin raha

mitti ne apne sare khazane ugal diye
lagta hai aur zer-e-zamin kuchh nahin raha

afzal har ek shai se wahan sirf main hi tha
ye aur baat hai ki yahin kuchh nahin raha

dil ki jo wusaton ka kabhi aa gaya khayal
phir to nazar mein arsh-e-barin kuchh nahin raha

us ki bas ek nigah se qissa hua tamam
hangama-e-chunan-o-chunin kuchh nahin raha

main ne kaha ki jo bhi hai lautaiye mujhe
us ne diya jawab nahin kuchh nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close