tum jo shamil hue khayalon mein raushni aa gai hawalon mein ab to ai chand baam par aa ja chandni aa gai hai baalon mein us ne nazren hi pher li mujh se kuchh nahin rah gaya sawalon mein ek lamhe ki to zarurat thi aur wo lamha na aaya salon mein teri aankhon pe baat hone lagi jang si chhid gai ghazalon mein qatl insaniyat ka karte hain bhediye aadmi ki khaalon mein ye 'muqaddas' haqiqi duniya hai aap rahti hain kin khayalon mein