wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega mere yaqin ko mera qayas kar dega main jab bhi us ki udasi se ub jaungi to yun hansega ki mujh ko udas kar dega mila ke mujh se nigahen wo meri nazron ke zara si der mein khali gilass kar dega phir is tarah se rahega mere khayalon mein ki meri pyas ko dariya ki pyas kar dega main us ki gard hatate hue bhi darti hun wo aaina hai mujhe khud-shanas kar dega main us ke samne uryan lagungi duniya ko wo mere jism ko mera libas kar dega wo mahtab-sifat sirf raushni hi nahin mujhi ko raat ka manzar bhi khas kar dega