tu bewafa hai tera e'tibar kaun kare tamam umr tera intizar kaun kare bahut dinon se main khush-fahmi-e-visal mein hun jo tu nahin to mujhe be-qarar kaun kare sunaen haal bhi dil ka agar sune koi sune na jab koi chikh-o-pukar kaun kare wo aae ya ki na aae ye us ki hai marzi shumar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kaun kare jo main bhi sab ki tarah bas tere qaside likhun ilaj-e-barhami-e-rozgar kaun kare agar nasib mein 'zaigham' khizan hi likkhi ho to phir jahan mein talash-e-bahaar kaun kare