tu bhi rahi main bhi rahi donon chalne wale hain tere panw ke niche makhmal mere panw mein chhaale hain le dubegi hum donon ko ye bechaini betabi roko apne aap ko roko hum apne ko sanbhaale hain rup us ka chandan sa mahke bole to sangit lage us ki kya puchho ho logo hum jis ke matwale hain mera us ka pyar ka nata tuta aur na tutega aur hain jitne rishte nate sab makdi ke jale hain tai karte hain apni manzil banhon mein banhen dale baadal ke pariwar mein yun to kuchh gore kuchh kale hain sachchi baaten kaun kahega kis mein itni jurat hai sab ke pas zaban hai lekin sab ke lab par tale hain main to 'shamim' ek panchhi tha aazad faza mein ud bhi chuka log na jaane kis chakkar mein ab bhi ghera dale hain