wo lab-kusha hon to goshe kai nikalte hain isi charagh se kitne charagh jalte hain main jal raha hun magar kaun is ko manega mere wajud se shoale kahan nikalte hain kisi libas mein khud ko chhupa nahin pate libas din mein kai bar jo badalte hain ye ahl-e-ilm ka shewa kabhi raha hi nahin jo kuchh nahin hain wahi sar utha ke chalte hain khata muaf hamein aap hi se shikwa hai ki hum tabah faqat aap hi ke chalte hain bahut se log samajhte hain khud-sari is ko ki hum hanuz isi shan se nikalte hain kabhi wo tir nahin baithte nishane par kashan kashan jo kaman se teri nikalte hain samajh gae the na pighle to tut jaenge wagarna barf ke tude kahin pighalte hain qadam qadam pe wo phir thokaren nahin khate 'shamim' ek hi thokar mein jo sambhalte hain