yar kyun gurezan hai sidhi rah chalne se manzilen nahin miltin raste badalne se jo bhi rang hai tera bas wahi ghanimat hai chehre kab nikharte hain munh pe khak malne se tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki mom ka har ek putla bach gaya pighalne se ban gae subut aakhir aap apne jurmon ka hath jo moattar the phul ko masalne se kar saka hai gadla kaun raushni ke chashme ko chand bujh nahin jata aandhiyon ke chalne se so ke to ganwa baitha ratjagon ki ranai ab 'qatil' kya hasil tere hath malne se