wafaen kar ke jafaon ka gham uthae ja isi tarah se zamane ko aazmae ja kisi mein apni sifat ke siwa kamal nahin jidhar ishaara-e-fitrat ho sar jhukae ja wo lau rabab se nikli dhuan utha dil se wafa ka rag isi dhun mein gungunae ja nazar ke sath mohabbat badal nahin sakti nazar badal ke mohabbat ko aazmae ja khudi-e-ishq ne jis din se khol din aankhen hai aansuon ka taqaza ki muskurae ja nahin hai gham to mohabbat ki tarbiyat naqis hawadis aaen to narmi se pesh aae ja thi ibtida mein ye tadib-e-muflisi mujh ko ghulam rah ke ghulami pe muskurae ja badal na rah khirad ke fareb mein aa kar junun ke naqsh-e-qadam par qadam badhae ja ummid o yas mein jina hai ishq ka maqsud isi maqam-e-muqaddas pe tilmilae ja chaman mein fursat o taskin hai maut ka paigham sukun pasand na kar aashiyan banae ja yahi hai lutf-e-mohabbat yahi hai kaif-e-hayat haqiqaton ki bina par fareb khae ja wafa ka khwab hai 'ehsan' khwab-e-be-tabir wafaen kar ke muqaddar ko aazmae ja