tu kahan hai mujhe o khwab dikhane wale aa ki dikhlaun tujhe main tere wadon ki kitab yaad hain tujh ko wo mahke hue rangin khutut kis qadar pyar se lati thin nisabon ki kitab ab koi khwab mein dekhun kahan fursat hai mujhe meri be-khwab nigahon mein hai yaadon ki kitab ye to mumkin hai bayan hijr ki rudad karun hai kise tab sune gham ke hisabon ki kitab main ne aate hue har chiz sameti thi magar bhul aaya hun kisi taq pe khwabon ki kitab