tu khush-nasib hai har shakhs hai asiron mein likha hua hai tere hath ki lakiron mein jo ho sake to mujhe bhi kahin talash karo main kho gaya hun khayalat ke jaziron mein ye inqilab-e-zamana nahin to phir kya hai amir-e-shahr jo kal tha wo hai faqiron mein hamein ye chahiye hushiyar rahbaron se rahen ki zahr bhi hain lage maslahat ke tiron mein sadak pe ho gaya phir koi hadisa shayad ek iztirab sa lagta hai rahgiron mein khulus-e-fan hi to 'nadir' ka hai ki shamil hai ab us ka nam bhi shahr-e-sukhan ke miron mein