tu mera dost mera yar hai nahin hai kya tere bhi dil mein bahut pyar hai nahin hai kya zara si baat pe main tum se ruth jata hun ye mere ishq ka izhaar hai nahin hai kya main apne aap se thoda bahut mutassir hun ye meri zat ko aazar hai nahin hai kya yun apne aap ko barbaad karta hai koi ai mere dil tu samajhdar hai nahin hai kya wo ek shai jo kabhi aankh mein nahin utri tu bhi to us ka talabgar hai nahin hai kya