tu mujh ko jo is shahr mein laya nahin hota main be-sar-o-saman kabhi ruswa nahin hota us ki to ye aadat hai kisi ka nahin hota phir is mein ajab kya ki hamara nahin hota kuchh ped bhi be-faiz hain is rahguzar ke kuchh dhup bhi aisi hai ki saya nahin hota khwabon mein jo ek shahr bana deta hai mujh ko jab aankh khuli ho to wo chehra nahin hota kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota main shahr mein kis shakhs ko jine ki dua dun jina bhi to sab ke liye achchha nahin hota