visal-o-hijr ke janjal mein pada hua hun mein arsh-e-rau kahan patal mein pada hua hun wahi ghutan, wahi mamul zindagi, wahi gham kahan main jashn nae sal mein pada hua hun yahan se niklun kisi aur ka shikar banun isi liye to tere jal mein pada hua hun gareban chaak, dhuan, jam, hath mein cigarette shab-e-firaq, ajab haal mein pada hua hun pahunch chuka hai zamana zamin se chand tilak kahan main zulf, nazar, gal mein pada hua hun