tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar de pa-e-nazar ko aazadi khud-bini ko zanjir na kar go tera 'amal mahdud rahe aur apni hi had maqsud rahe rakh zehn ko sathi fitrat ka band us pe dar-e-tasir na kar baatin mein ubhar kar zabt-e-fughan le apni nazar se kar-e-zaban dil josh mein la fariyaad na kar tasir dikha taqrir na kar tu khak mein mil aur aag mein jal jab khisht bane tab kaam chale in kham dilon ke unsur par buniyaad na rakh ta'mir na kar