wahan ki raushniyon ne bhi zulm dhae bahut main us gali mein akela tha aur sae bahut kisi ke sar pe kabhi tut kar gira hi nahin is aasman ne hawa mein qadam jamae bahut na jaane rut ka tasarruf tha ya nazar ka fareb kali wahi thi magar rang jhilmilae bahut hawa ka rukh hi achanak badal gaya warna mahak ke qafile sahra ki samt aae bahut ye kaenat hai meri hi khak ka zarra main apne dasht se guzra to bhed pae bahut jo motiyon ki talab ne kabhi udas kiya to hum bhi rah se kankar samet lae bahut bas ek raat thaharna hai kya gila kije musafiron ko ghanimat hai ye sarae bahut jami rahegi nigahon pe tirgi din bhar ki raat khwab mein tare utar ke aae bahut 'shakeb' kaisi udan ab wo par hi tut gae ki zer-e-dam jab aae the phadphadae bahut