yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango apne hi gale ke liye talwar na mango gir jaoge tum apne masiha ki nazar se mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango khul jaega is tarah nigahon ka bharam bhi kanton se kabhi phul ki mahkar na mango sach baat pe milta hai sada zahr ka piyala jina hai to phir jine ka izhaar na mango us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai sahra mein kabhi saya-e-diwar na mango